Showing posts with label Urdu Poetry Designing Course. Show all posts

Urdu Poetry Designing In Urdu Video Tutorials Class 3

Class 3

Urdu Poetry Designing In Urdu Video Tutorials Class 3

Today In This Class We Will Learn That How To Create Rapid Frame, Creating Background From A Gradient And A Text Style Using Method In Urdu Video Tutorial.
So, This Class Is In Urdu Enjoy This One And Remember Me In Your Prayers :)

Urdu Poetry Designing Ki Teesri Class

Assalaam u alaikum
Class 3 k sath hazir hon.. Is Class me maine Rapid Frame banane ka Tareeqa Gradient se Background Banane ka Tareeqa aur sath me Text Styles use karna bataya hai..

Frame Piece aap yahan se download kar sakte hain


Gradient Download karne k liye


Styles jald hi upload kardiye jaenge

Dailymotion


TunePk



Is video me use hone wali short keys main sath sath likh raha hon

Ctrl+N ----- New File
Ctrl+O ----- Open File
Ctrl+A ----- Select All
Ctrl+D ----- Deselect
Ctrl+T ------ Transform Selection
Ctrl+E ------- Merge Layer
Alt+Right Click ----- Copy Layer

Yeh is Class ka Final Result hai

Final Frame Designed Image

Agar koi kami beshi reh gae ho to maazrat ...
Kuch samajh na aae to 100 bar pochen koi Issue nahi....
Umeed hai buhut se log is se faida uthaenge aur apna home work yahan share karenge.... shukriya
----------------

Recommended!

Class 1
Class 2

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials Class 2

Class 2

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials Class 2

Today In This Class We Will Learn How To Load Brushes And Gradients In Adobe Photoshop In Urdu Tutorial.
This Class Is Also In Urdu Picture Tutorial Because Its A Short Class So, Its In Picture Tutorial.
Next Long Classes Will Be In Urdu Video Tutorials.


Assalaam u alaikum
2nd short class k sath hazir hon... jaisa k maine pehli class me bataya tha aaj ki class me aap ko gradient brushes wagera kaise load karte hain Ps me us k bare me bataonga to usi munasibat se choti si class laga raha hon...
1st step
Edit Menu me ja kar preset option par arrow rakhen new box open hoga us k pehle option preset manager par click karden...



Is par click karte hi new window open hogi wahan aap right side par load ka button dekh rahe honge us par click karen


load par click karte hi aap ko apni brush file ya gradient file browse karni hai aur phr select kar ke load kar dena hai


is tarah aap ki file load hojaegi.
ab usi window me reh kar top se dosra option select karlen gradien ya styles jo aap load karna chahen


pehle maine brush load kiye ab maine gradient select kia hai load karne k liye
jaise hi gradient par click karenge to aap k bottom option me gradient aajaenge..


Same usi Tarah load par click karke browse karen aur load karen gradient file ko aap k gradient usi k neeche show hojaenge


Isi Tarah aap styles aur patterns bhi load kar sakte hain us k baad aap done press karden aur ek bar ps ko restart karlen aksar yeh hota hai k ps khud off hone se koi error aajae ya light chali jae to jo kaam hum ne kia hota hai woh save nahi hota jaise yeh aap ne jo bhi load kia hoga woh phr se karna hoga isliye ahtiatan ek bar restart karlen ps ko..

Styles, brushes, gradient aur pattern collection aap ko Art Resources sections me mil jaenge agar na hon to main kal hi collection upload kardunga wahan.....

yeh hamari 2nd short class thi INSHAA ALLAH next class se hum baqaida aaghaz karenge frame aur fb cover size ka image design karne ka...

Mujhe Dijye Ijazat Duaon me rakhyega yaad
Feeamanillah

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials Class 1

Class 1

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials Class 1

Today In This Urdu Tutorial You Will Learn About Adobe Photoshop's Layout/Interface In Urdu.
This Is An Introduction Class Of Adobe Photoshop So, Next Classes Will Be In Urdu Videos.
Read Carefully This Class Is Very Important For Beginners.

Pehli Class Urdu Poetry Designing Ki Image

Class 1

Assalaam u alaikum
Umeed hai sab khairiat se honge...
Class 1 k sath hazir hon is class me photoshop k bare me kuch maloomat batana chahonga jo k new seekhne walon k liye kafi mufeed hogi..
Design k liye jin tools ki zarorat parti hai un k naam aur short keys bata raha hon...

Bismillah Hira Ma Nira Heem Design Ki Hui Image

Step 1
Photoshop Instal karne k baad aap ko jo settings karni hain un k bare me batata chalon jab aap installation k baad ps open karenge to us ki screen kuch yun show hogi

Adobe Photoshop Ka Designing Area

Step 2
Tool bars Name and short keys

 Adobe Photoshop K Designing Shortcut Keys

jab aap in tool bars ko dekhenge to us me chota sa ek arrow ka nishan bana huwa hai us par aap right click karenge to us me aur izafi tools niklenge jis ki choti si image yahan share kar raha hon

Adobe Photoshop Ki Tool Bar Ki Image

To yeh tha ek chota sa 2 option wala Ps ka taaruf yeh sirf aap ko basic samjhane k liye tha aaj kal mujhe nahi lagta k koi aisa ho jo Ps k bare me kuch na janta ho...

Umeed Hai aap ko samajh aagaya hoga Ps menu aur toolbars k bare me ab aate hain kuch settings ki taraf jo k main aksar Ps install karte hi karleta hon jo k buhut zarori hoti hai specially Poetry Designing k liye....
Step 1
Edit Menu par click karen aur sab se last option prefrences par cursor le ja kar 2nd box me plugins par click karden....
Edit>Prefrences>Plug_ins..

Adobe Photoshop K Plugins Ka Option

ab ek new window open hogi us me aap ne filters k option me ja kar show all filters par click kar dena hai

Photoshop K Plugins Me Filters Ka Option

Is se aap k pas sab filters show hojaenge jo hide hote hain aur un ki hume behad zarorat parti hai..

Step 2
Ab Aap View Menu par click kar ke 14th option Show par arrow rakhen aur 2nd box k Smart Guides Option par click karden
View> Show> Smart Guides

Adobe Photoshop Me Smart Guides Ka Option Urdu Image

Is se aap ko design balance karne me buhut hi aasani hojaegi jaise hi aap ka frame ya design out hoga aap ko woh alert line show kardega... kafi log is options se be khabar hote hain...
aur ab 3rd and last step jo k behad zaruri hai woh Ruler ka open hona..
Frame banate wqt aap ko Ruler ki madad zaror leni parti hai Ruler open karne k 2 Tareeqe hain ek jo k sab se normal hai aur short bhi woh hai us ki short key

CTRL+R

aur dosra Tareeqa yeh hai View menu par click karte hi 15th point Ruler hoga us par click karden

Photoshop Me Rulers Ka Option In Urdu Image

yeh setting ka silsila hamara mukamal huwa aur aaj ki class bhi Inshaa Allah agli class me aap ko photoshop me gradient, Styles, Brushes aur Patterns ko load aur install karna sikhaonga...


Umeed hai sab ko samajhne me aasani hogi aur hamare is seekhne aur sikhane k amal me aap barh charh kar hissa lenge...
Tutorial banana buhut mushkil kaam hai aur us k liye kafi wqt darkar hota hai lekin is ka maza tab aata hai jab samne wala is ka kuch responce de aap jab tak isy seriously nahi lenge tab tak aap kuch nahi seekh sakte. to koshish karen regular hone ki aur jo jo regular hona chahta hai jaisa k maine pehle kaha woh apna naam yahan mention karde phr hum is silsile ko aage barhate rahenge Inshaa ALLAH..
mujhe ijazat den kal milte new class k sath.. FEEAMANILLAH

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials

Introduction Class

Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials

Today In This Post I Will Share With You The Introduction Class Of Urdu Poetry Designing Course In Urdu Video Tutorials.
If You Want To Learn That How You Can Design Your Own Urdu Poetries So, This Course I'm Starting Is For You Brother!
After Watching This Full Urdu Video Tutorials Course You Would Be Able To Design Your Own Urdu Poetries.

Urdu Poetry Designing Free Full Urdu Course Download

This Is An Introduction Class I Will Provide You Some Important Computer Softwares In This Class Which You Should Download Before Starting This Course.

168.8 MB
85.83 MB
136.92 MB With 3D Option
160.88 MB
92.6 MB
1.7 GB
Inpage 3.06 Professional

Introduction Video About Urdu Poetry Designing Course In Urdu

See Our Urdu Courses Section For All Classes